Papa tum nahi ho to kuch bhi nahi hai mere aas pas
Hamesa man ka ek kona khali hi rah jata hai
Tumse batein karna tumhara sath hona
Kuch bhi nahi
Koi gale lagane wala nahi nahi babu bol ke pyar karne wala nahi koi baat karne wala nahi koi samjhane koi sunne wala nahi
Tum ho ke bhi mere kyu nahi ho papa
Jeewan me kych v galat hota hai to pta hai lagta hai jaise apki hi wajah se hota hai
Ap mere pas hote to aisa nahi hota
Apne mujhe pyar kia hota to aisa nahi hota
Apne mujhe samjha hota toh aisa nahi hota
Sab de ke phir sab chhin lia upar wale ne ya sayad aap ne
Papa meri kismat aisi kyon hai jahan apka hona na hone jaisa hai bilkul
Dubara janm lu to tum apni beti hi bnana pr is bar mujhe ek mauka dena aur khud ko bhi
Mere pas rahna sirf mere papa ban ke mujhe gale laga ke kahna ki mai hoon na...mai sab sambhal lunga tum chinta mat karo
Aur mujhe apki proud beti ban saku sabit kar saku iska ek aur mauka dena
No comments:
Post a Comment