Mujhe ab sach se prem hone laga hai
Janti hoon
Kahi suni baat hai ki sach bolo sach bolo
Pr ye usse v bda sach hai ki sach sabko raas nahi aata hai...
Pr mujhe bebaki sach aur ujale se prem hone laga hai
Dhundhli duniya kayi kahaniya bnati hai
Kayi sapne dikhati aur todti hai pr sach
Un sab pe marham hai
Ek khyal hi ki apko sirf sach dikhaya jaye to aatma sihar jayegi ki jane kya nikal aaye ujale me
Pr mujhe ab sach hi bhala lagta hai
Sach bolte logo ko dekh ke bdi himmat sur khushi hoti hai ki kitna aatmvishwas hota hoga aise logo me jo ye jante hue bhi ki duniya jane kya kar dale kya kah dale pr wo sach bolte hain...
Kash ek aisi duniya mai v bna pati
No comments:
Post a Comment