Saturday, May 3, 2025

Tum.....

 Tum to sare jawab le gaye

Mere hi hisse sawal hai kyu

Mohabbat to dono ki hi thi

Phir mera hi nam badnam hai kyun

Sukh ka suraj dono ne hi chaha tha

Phir

Meri hi shamein viraan hai kyun

Tum ko puri dunia man ke chaha maine

 mukammal na ho saka hamara milna

Jab mere hisse ki dharti bhi na mili mujhe

Toh Aisa berang sir pe aasman hi kyun.........

No comments:

Post a Comment

kuch hai jo har samay lagta hai ki kam hai Pr pta hi nahi chalta mujhe khud ki kya hai Sahi se hisaab hi nahi laga pati ki sab kuch hote hue...